Sunday, March 29, 2009

Umr ki dahleez par


Umr ki dahleez par, kehne se pehle alvida

maine shayad kuch kaha,tune shayad kuch suna

Raston ki dastan manzilon se kam nahi

teri hi ek aas thi, hame kisi ka gam nahi

baar baar taumr marta hai admi

jani kitni sanse udhar bharta hai admi

Mai apni ghari tumhari meez par chor aaya tha

ho sakta hai kabhi guzra waqt tumhe yaad aa jaye

No comments:

Post a Comment