Sunday, March 29, 2009

Entry for 02 December 2006


kohra shayad tha phaila

ya duniya andheri thi

oos sa dard ubharta raha

mere hare patte se sharir par

par shayad koi roshni hai

har dharkan kanp-kapati thi

is ehsas ko barfile haath barhe thamne

dor garm sans ki shayad,aahat tumhari,

cheer dharti ka seena choo leti thi kahi

gehri mujhme basti rahi woh aahat

mujh me aur mai palti rahi

aasha aur andhiyare tale

rooh hai shayad kahi kyonki

tumhare kadmon ke nishan

aaj bhi mere sine ki narm zameen par dekhe hai maine

kitna saach tha us bheene - bheegay jhonke ka ashwasan

jo baar baar sehlata raha

shayad tumhari dharkan hi amrit ban barsi

jab prano ke tage uljhe aur toote

aaj is haryali me

dhoop ke khule aangan me

khule aakash ki meethi bayar tale

un mahin andheroo ko akhir pighalte dekha maine

No comments:

Post a Comment